Showing results by narrator "Amardeep Purewal" in All Categories
-
-
Darling Democracy
- By: Nilotpal Mrinal, Hind Yugm
- Narrated by: full cast, Nilotpal Mrinal, Babla Kochhar, and others
- Original Recording
-
Overall
-
Performance
-
Story
Audible prastut karta hai Darling Democracy, ek Audible Original, in association with Hind Yugm. Best-selling lekhak Nilotpal Mrinal ke shadb. Bilaiya naamak gaon me panchayat chunav ki sugbugahat ke saath jab gaon ki seat Adiwasi ghoshit hoti hai tab vartmaan mukhiya Rang Bahadur Singh pareshan ho uthta hai. Malum chalta hai ki uss gaon me ek vidhwa adiwasi mahila hai jo ab nirvirodh mukhiya chuni jayegi. Usi dauran ek baniya ke beta ek adiwasi ladki ko bhaga le jata hai. Tab use manakar wapas gaon me laya jata hai aur baniya samaj us ladki ko chunav ladane ki taiyari karne lagta hai. Udhar vartman mukhiya ko pandit Tribhuj ne salah diya ki wo kisi adiwasi mahila se shadi karke rajput dwara shaasan karne ki parampara ko bacha sakte hain. Mukhiya aisa hi karta hai. Tabhi pandit Tribhuj ka beta ek adiwasi girlfriend se court marriage karke wapas lautata hai. Ab Bilaiya gaon mein mukhiya ke 4 candidate taiyaar ho jate hain. Lekin tabhi khabar aati hai ki panchayat chunav abhi nahin hoga. Iss tarah sabke armanon par pani fhir jata hai. Disclaimer- Iss show mein apshabd aur kadi bhasha aur vayask shrotaayon ke liye vayask saamagri hai, jismein antrang drishya shaamil hain jo kahani ke anuroop hain. Yeh poori tarah kaalpanik hai aur vaastavik vyakityon, vyavsaayon, sthaanon ya ghatnaayon ke saath koi bhi samaanta maatr sanyog hai. Iss show ka uddyeshya kisi vyakti, sansthan, jaati, samudaay, nasl ya dharm ko thes pahunchaana ya badnaam karna ya kisi sansthan ya jeevit ya mrit vyakti ko badnaam karna nahin hai. Shrotaaon ko apne vivek ka istemaal karne ki bharpur salaah di jaati hai.
Failed to add items
Sorry, we are unable to add the item because your shopping cart is already at capacity.Add to basket failed.
Please try again laterAdd to wishlist failed.
Please try again laterRemove from wishlist failed.
Please try again laterAdding to library failed
Please try againFollow podcast failed
Unfollow podcast failed
-